Taka, challan aur mill.
Sab ek app mein.
GST bill, taka-wise meter, dalal aur dhara ke saath. Grey kharid, mill challan aur job work. Mill par pada maal Home par dikhta hai.
Hindi, Gujarati ya English mein boliye.
iPhone par App Store mein app ka naam “Wisdom OMS” hai.
Jaise kapda kharida aur becha jaata hai, waise hi bana hai.
Shuru mein apna kaam Textile chuniye. Phir Home aur bill mein wahi aata hai jo kapde ke vyapari ko chahiye.
Taka-wise bill
Item ki line mein har taka ke meter likhiye. App unhe bill ke liye jod deta hai.
Dalal aur dhara
Bill par dalal chuniye. Dhara din mein dijiye, due date bill ki tareekh se nikal aati hai.
Grey kharid
Jo grey kharidte hain use taka-taka likhiye. Ya challan ki photo app ki chat mein bhejiye, aur jo entry bane use check kijiye.
Mill bhejiye
Apne grey se mill challan banaiye, lot number, quality aur process ke saath.
Mill par pada maal, Home par
Home ka “Mill par” card batata hai ki mill par kitne taka pade hain.
Job work
Job worker ko maal challan par bhejiye, aur dekhiye ki kis job worker ke paas kitna baaki hai.
E-way bill aur e-invoice
E-way bill aur e-invoice bill se hi banaiye.
Kisse lena hai
Har party ka balance Home par hai. Party statement PDF mein WhatsApp par bhejiye, aur baaki rakam ka reminder bhi.
Bolkar bill
Party, item, qty aur rate boliye. Bill bhar jaata hai, aap check karke save kijiye.
2015 se
Textile ke vyapari 2015 se apna hisaab Wisdom par rakh rahe hain.
Surat se
Marothia Techs, Saket Textile Market, Surat. Made in India.
Call aur WhatsApp par madad
Somvaar se Shanivaar, subah 10 se shaam 7 baje tak.
Grey se sale bill tak, teen step.
- 1
Grey aata hai
Grey kharid uske taka ke saath likhiye.
- 2
Mill jaata hai
Mill challan banaiye. Home batata hai ki mill par kya hai.
- 3
Bikta hai
Sale bill banaiye, taka, dalal aur dhara ke saath. PDF WhatsApp par bhejiye.
Kahin atak gaye? +91 75728 57390 par call kijiye ya WhatsApp par message kijiye. Somvaar se Shanivaar, subah 10 se shaam 7 baje tak.